Welcome to Mansoor's Web
  Urdu Poems
 


ein Bild

ein Bild
ein Bild
ein Bild
ein Bild
ein Bild

ein Bild

ein Bild

ein Bild
 

ein Bild
1.      aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
        taaqat-e-bedaad-e-intazaar  naheeN hai

        

2.      dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
        nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai

        
3.      giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
        haay !  ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

       

4.      hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
        KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

        
5.      dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
        GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

       

6.      qatl ka mere  kiya  hai 'ahad to baare
        waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

        

7.      toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
        teree  qasam  ka kuchch  'eitbaar naheeN  hai !

8.      diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ?
        huwa  raqeeb to ho,  naamaabar hai, kya kahiye ?

        

9.      yeh zid, ki aaj  na aave aur aaye bin  na rahe
        qaza se shikwa hamaiN kis qadar hai kya kahiye ?

        
10.      rahe haiN  yoN  gah-o-be_gah  ki koo-e-dost ko ab
        agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye ?

        

11.      zah-e-karishma ki yoN  de rakhaa hai  hamko fareb
        ki bin kahe hee unhaiN sab KHabar hai, kya kahiye ?

        
12.      samajh ke karte haiN baazaar meiN woh pursish-e-haal
        ki  yeh  kahe  ki  sar-e-rehguzar  hai,  kya  kahiye ?

        
13.      tumhaiN naheeN  hai sar-e-rishtaa-e-wafa  ka KHayaal
        hamaare haath meiN kuchch hai, magar hai kya, kahiye ?
14.      unhaiN sawaal pe zoam-e-junooN hai, kyoN laDiye ?
        hame jawaab  se  qata'a-e-nazar hai, kya kahiye ?

        
15.      hasad  sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje
        sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ?

  

16.      kaha hai kisne ki 'GHalib' buraa naheeN lekin
        siwaay iske  ki aashuftaa_sar  hai kya kahiye ?

        

Ay dile Nadan tujhe hua kya hai

1.      dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
        aaKHir is dard  kee dawa kya hai

2.      ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
        ya ilaahee ! yeh maajra kya  hai ?

       

3.      maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN
        kaash !   poocho  ki   "muddaa kya hai" ?

4.      jab ki tujh bin naheeN  koee maujood
        fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai

5.      ye  paree chehara log  kaise haiN ?
        GHamza-o-ishwa-o-'adaa   kya  hai ?

       

6.      shikan-e-zulf-e-ambaree   kyoN hai ?
        nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?

       
7.      sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ?
        abr kya cheez hai, hawa kya hai ?

       

8.      hamko unse wafa ki hai ummeed
        jo naheeN jaante wafa kya hai

9.      "haaN bhala kar tera bhala hoga"
        aur darvesh kee  sada  kya  hai ?

 

DIL SE TERI NIGAH JIGAR TAK UTAR GAYI

1.      dil se  teree nigaah jigar tak utar gayee
        donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee
2.      shaq ho gaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq
        takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar     gayee

        
3.      woh  baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN ?
        uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee

        
4.      uDtee fire  hai  KHaak  meree  koo-e-yaar se
        baare ab 'ei hawa, hawas-e- baal-o-par gayee

        
5.      dekhooN  to   dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa
        mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar gayee

        
6.      har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee
        ab  aabru-e-sheva-e-'ehl-e-nazar   gayee

        

7.      nazzaare  ne  bhee  kaam  kiya  waaN  naqaab ka
        mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee

8.      farda-o-dee  ka  tafarqa yak baar  mit gaya
        kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee

        

9.      maara  zamaane  ne   'Asadullah KHaaN'  tumhe
        woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?

        

MUSKURATI AANKH
Dosti  ke  kuch  andaaz hothe hain
Jagti ankhon mein kuch khuwab hote hain
Zaroori nahin ke ghum mein ansoo nikley
Muskurati aankh mein bhi sailaab hote hain

 


TUM HO
YAADE hai teri, Ya YAADO me tum ho?
KHWAB hai teri, ya KHWABO me tum ho?
ye hum nahi jante,hume bas itna bata do
ke hum JAAN hai teri? ya JAAN me tum Ho

 


YAQEEN KITNA THA
bichar k phir milain gay, yaqeen kitna tha
tha to aik khuwab magar haseen  kitna  tha
meray zawal say pehlay he choor gia muj ko
haseen  to  tha hi, Zaheen  kitna  tha

 


 GAHRA DOSTI (urdu)
Ansoo tere nikle aur ankhein meri ho
dil tera darhke aur darhkan  meri ho
khuda kare ke hamari dosti itna gahra ho
ke sans tera ro ke aur mout meri  ho
sent by : (MN)

 


MAJBOORI (urdu)
Pyar se pyari koi majboori nahi hogi
kami apno ke kabhi  poori nahi  hogi
dilo ka juda hona ek alag bat hai
nazro se juda hona koi doori nahi hogi
sent by: (MN)

 

TUMHEN SAT LEKAR (urdu)
Koi sham ate hai tumhara yad lekar
Koi sham taje hai tumhara yad chorkar
hame os sham ke intezar hai
jo le aye tumhe sath lekar
Sent by: (MN)


MILNE KI CHAHAT(urdu)
Ab aja dekh meri kya halat hoi hai
Aake seene se lag abto milne ki chahat hoi hai
Ab to raat katne se bhi nahi kati
Tera chehra ab to ankhon se nahi hati
Sent by: (MN)

 


RAZE ASHIQI (urdu)
Hal nahi rehta kabhi parde ma raze aashiqi
Tumne chupa kar aur bhi isko numaya kardiya
Sent by: (MN)

 


TANG KAREGI (urdu)
Raste mein na betho hawa tang karegi
bechrey howe logo ke sada tang karegi
mat toot ke chaho ese aghaze safar
bechrege to ek ek ada tang karegi
Sent by: (MN)

 


EK SANS BAQI HAI (urdu)
na qalam rang deta hai na kaghaz kam deta hai
faqat ek sans baqi hai jo tera nam leta hai
Sent by: (MN)

 

 

DIL MAJBOOR KARTI HAI (urdu)
Nigahe naz karti hai teri deedar karne ko
ye dil majboor karti hai tum se pyar karne ko
Sent by: (MN)

 

 

MOHABAT KI ZUBAN (urdu)
Kon kehta ke mohabbat ki zuban hoti hai
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
Sent by: (MN)

 

MULAQAT
Kitni  Jaldi  ye  mulaqat  guzar   jati  hai
Pyas  bujhti  nahi  barsat  guzar jati  hai
Apni yado se kehdo is tarah na sataen mujh ko
Neend  ati nahin aur  raat  guzar  jati hai
Sent by :  (MN)

 

IBTIDA
Raat ki ibtida neend se  hoti  hai
neend ki ibtida sapno se hoti hai
Sapno ki ibtida apno se  hoti hai
Apno ki  ibtida  aap  se  hoti hai
Sent by : (MN)

 

ZAMANA BEWAFA AST
Jan ba Nafas goft k nafas wakhte jan dadan tu az ma judai nako
EEn zamana bewafa ast too bewafa-e  nako.
Sent By: Anita Naz

 


JAWANI KI DUA
Tujhe dekh kar  sitare be zeeya mangengay,
Tere zulf-o say ghatah  mangang-gay,
Yun amth-e ko achal say maath sarka,
Warna booday be jawani ki Douah mangengay.
Sent By: Anita Naz

 



 
  Today, there have been 190682 visitors (501753 hits) on this page!  
 
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free