1. aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai
2. dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai
3. giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai
4. hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai
5. dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai
6. qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai
7. toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai !
8. diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ?
huwa raqeeb to ho, naamaabar hai, kya kahiye ?
9. yeh zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe
qaza se shikwa hamaiN kis qadar hai kya kahiye ?
10. rahe haiN yoN gah-o-be_gah ki koo-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye ?
11. zah-e-karishma ki yoN de rakhaa hai hamko fareb
ki bin kahe hee unhaiN sab KHabar hai, kya kahiye ?
12. samajh ke karte haiN baazaar meiN woh pursish-e-haal
ki yeh kahe ki sar-e-rehguzar hai, kya kahiye ?
13. tumhaiN naheeN hai sar-e-rishtaa-e-wafa ka KHayaal
hamaare haath meiN kuchch hai, magar hai kya, kahiye ?
14. unhaiN sawaal pe zoam-e-junooN hai, kyoN laDiye ?
hame jawaab se qata'a-e-nazar hai, kya kahiye ?
15. hasad sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje
sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ?
16. kaha hai kisne ki 'GHalib' buraa naheeN lekin
siwaay iske ki aashuftaa_sar hai kya kahiye ?
Ay dile Nadan tujhe hua kya hai
1. dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
2. ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?
3. maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN
kaash ! poocho ki "muddaa kya hai" ?
4. jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai
5. ye paree chehara log kaise haiN ?
GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai ?
6. shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai ?
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?
7. sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ?
abr kya cheez hai, hawa kya hai ?
8. hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai
9. "haaN bhala kar tera bhala hoga"
aur darvesh kee sada kya hai ?
DIL SE TERI NIGAH JIGAR TAK UTAR GAYI
1. dil se teree nigaah jigar tak utar gayee
donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee
2. shaq ho gaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq
takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar gayee
3. woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN ?
uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee
4. uDtee fire hai KHaak meree koo-e-yaar se
baare ab 'ei hawa, hawas-e- baal-o-par gayee
5. dekhooN to dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar gayee
6. har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee
ab aabru-e-sheva-e-'ehl-e-nazar gayee
7. nazzaare ne bhee kaam kiya waaN naqaab ka
mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee
8. farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya
kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee
9. maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe
woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?
MUSKURATI AANKH
Dosti ke kuch andaaz hothe hain
Jagti ankhon mein kuch khuwab hote hain
Zaroori nahin ke ghum mein ansoo nikley
Muskurati aankh mein bhi sailaab hote hain
TUM HO
YAADE hai teri, Ya YAADO me tum ho?
KHWAB hai teri, ya KHWABO me tum ho?
ye hum nahi jante,hume bas itna bata do
ke hum JAAN hai teri? ya JAAN me tum Ho
YAQEEN KITNA THA
bichar k phir milain gay, yaqeen kitna tha
tha to aik khuwab magar haseen kitna tha
meray zawal say pehlay he choor gia muj ko
haseen to tha hi, Zaheen kitna tha
GAHRA DOSTI (urdu)
Ansoo tere nikle aur ankhein meri ho
dil tera darhke aur darhkan meri ho
khuda kare ke hamari dosti itna gahra ho
ke sans tera ro ke aur mout meri ho
sent by : (MN)
MAJBOORI (urdu)
Pyar se pyari koi majboori nahi hogi
kami apno ke kabhi poori nahi hogi
dilo ka juda hona ek alag bat hai
nazro se juda hona koi doori nahi hogi
sent by: (MN)
TUMHEN SAT LEKAR (urdu)
Koi sham ate hai tumhara yad lekar
Koi sham taje hai tumhara yad chorkar
hame os sham ke intezar hai
jo le aye tumhe sath lekar
Sent by: (MN)
MILNE KI CHAHAT(urdu)
Ab aja dekh meri kya halat hoi hai
Aake seene se lag abto milne ki chahat hoi hai
Ab to raat katne se bhi nahi kati
Tera chehra ab to ankhon se nahi hati
Sent by: (MN)
RAZE ASHIQI (urdu)
Hal nahi rehta kabhi parde ma raze aashiqi
Tumne chupa kar aur bhi isko numaya kardiya
Sent by: (MN)
TANG KAREGI (urdu)
Raste mein na betho hawa tang karegi
bechrey howe logo ke sada tang karegi
mat toot ke chaho ese aghaze safar
bechrege to ek ek ada tang karegi
Sent by: (MN)
EK SANS BAQI HAI (urdu)
na qalam rang deta hai na kaghaz kam deta hai
faqat ek sans baqi hai jo tera nam leta hai
Sent by: (MN)
DIL MAJBOOR KARTI HAI (urdu)
Nigahe naz karti hai teri deedar karne ko
ye dil majboor karti hai tum se pyar karne ko
Sent by: (MN)
MOHABAT KI ZUBAN (urdu)
Kon kehta ke mohabbat ki zuban hoti hai
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
Sent by: (MN)
MULAQAT
Kitni Jaldi ye mulaqat guzar jati hai
Pyas bujhti nahi barsat guzar jati hai
Apni yado se kehdo is tarah na sataen mujh ko
Neend ati nahin aur raat guzar jati hai
Sent by : (MN)
IBTIDA
Raat ki ibtida neend se hoti hai
neend ki ibtida sapno se hoti hai
Sapno ki ibtida apno se hoti hai
Apno ki ibtida aap se hoti hai
Sent by : (MN)
ZAMANA BEWAFA AST
Jan ba Nafas goft k nafas wakhte jan dadan tu az ma judai nako
EEn zamana bewafa ast too bewafa-e nako.
Sent By: Anita Naz
JAWANI KI DUA
Tujhe dekh kar sitare be zeeya mangengay,
Tere zulf-o say ghatah mangang-gay,
Yun amth-e ko achal say maath sarka,
Warna booday be jawani ki Douah mangengay.
Sent By: Anita Naz